Thursday, July 16, 2009

Kal... Aaj... Aage...

Aaj mera ghar mujhe pukarta hoga,
Mera gaon mujhe bulata hoga,
Ghar ke darwaze meri rah dekhte honge,
Har khidki mujhe niharne ko tarasti hogi...

Mere ghar ke har kone main meri mahak thi,
Meri angdai se hi voh jagta,
Meri ubasi se so jata,
Meri hansi se hi voh khilkhila uthta...
Aaj bas usi ko yaad karke jeeta hoon,
Haan! apne aap ko dilasa to de hi leta hoon...

Mere gaon ki har gali main mai ghoomta tha,
Apni gali ka to main badshah,
Vo raste, vo bazaar, vo mandir, main kaise bhool sakta hooon,
Vo halwai ki mithai vo mera purana school,
Shayad ab sab peeche choot gaya hai...

Wahan mujhe sab jante, har mod par awaj de dete,
Par aaj yahan itni bheed main bhi main tanha hoon,
Muskurata to rehta hoon par shayad hansna bhool gaya hoon...

Vo maan ke haath ka bana khana,
Barsat main pakodon ke saath garam chai ki chuski
Aaj bade restra main to khata hoon,
Swad ka to pata nahin, bas us pyar ko taras jaata hoon,
Jo shayad chai main ghul jata tha,
Pakode ki mahak main mil jata tha...

Ghar ki khidki se jo baag dikhta tha,
Jisme yaron ke saath khel maine bachpan gujara tha,
Aaj us khidki main kaun yaron ka rasta dekhta hoga
Ek awaj par nange per kaun darwaje par bhagta hoga,
Voh khidki-darwaje mujhe yaad to karte honge
Gahe-bagahe koi dost akar mujhe awaj to de hi deta hoga,
Meri cycle koi to chalata hoga,
Mere scooter main koi to tel bharwata hoga,
Shayad koi na koi to mujhe yaad karta hoga.

Aaj sochta hoon wahan se nikalkar maine kya khoya kya paya...
Jo paya woh bada hai ya jo khoya?
Shayad jo khoya voh anmol tha jo paya uski keemat laga sakta hoon...

Har pal wapas laut jana chahta hoon,
Iss jahan ko bhool kar apna kal phir jeena chahta hoon,
Phir mere khwab mujhe rokte,
Kuch bada banne ki chah mujhe kachot ti,
Shayad yahi jindagi hai,
Kuch pane ke liye kuch khona yahan jaroori hai,
Lekin mera ghar mera shahar mere apne hi kyon??

Aage badhna hi jindagi hai
Kuch karke dikhana hi jindagi hai,
Jo beet gaya usse bhool jayo,
Bas aaage badhte jao....
Lekin phir bhi kabhi to khayal aa hi jata hai....

Kal ... Aaj ... Aage ...

1 comment:

  1. very touching and apt acc. to current scenario..hum bada bannay kay chakkar me apnay aap,ghar ko bhul jatey hai...very true...well done...

    ReplyDelete